Saturday, November 1, 2008

Dasht...

Viranay ki soorat
Khamosh samah
Nazar jo uthao
Taweel Asman
Azadi hai dekho
Caravan e zindaan
Kiya jaanay wo kaidi
Jis ka lutf hai wafa
Humay bay wafa
Na kehna magar
Zaroorat hamari
Hai azadi agar
Hain tanha to kya
Baywafa bhi to kya
Akelay thay hum
Akelay hain ab
Sakoon hai yehi
Arzoo hai yehi
Hai yehi mera lutf
Hai azadi yehi
Issay tum kabhi
Na tanhayi kehna
Ye shanakht hai meri
Maqam hai mera
Issi say to hai
Yeh uunchi parvaaz meri
Meri shan hai
Yeh Tanhai meri
Kiya nasha hai mera
Yeh Tanhai meri
....
Yeh dasht hai mera
Meri Manno Salwa

2 comments:

Z Sattar said...

You are getting tremendous in your writings day by day.....

hasan said...

hey dudette..lighten up...snap out of it already...Please!!!
we are all starting to miss the fun YOU.