Monday, March 9, 2009

deewanapan aur kashish

kiya kashsish hai yeh
deewana pan hai yeh
kheechay chala jata hai
pukarta hai mujhay

deewana bana deta hai hamay

yeh andaaz hai purana
yeh ehsaas hai puraana
yeh khel hai tumhara
ek bhase hai tumhara

deewana bana deta hai siyanay ko bhi

jab dor hathon main thi
tab chor kyun dee
jab dor mil gayi
kissi aur ki hui

deewana bana gayi tum ko bhi

kiya kashsish hai yeh
jo taapish hai yeh
deewana pan hai
afsaana hai yeh

deewanagi hai yeh
afsaana hai yeh
kiya khel hai yeh?

na chayro issay
rehnay do issay
jeenay do hamay

abhi to huway hain
zinda yahan
kyun karta ho vaar
dobara yahan

woh raat reh gayi
woh baat reh gayi

jo honi thi
woh mulakat
reh gayi

ham hain anjaanay
bay umeed
parwanay
ab yahan

kissi aur kay huway
do dewaanay
abh yahan

ab rahnay bhi do
jeenay bhi to do

khak may mill gayi yeh kahani ab yahan

3 comments:

Anonymous said...

wah

SUBHANALLAH!

faizan abbas said...

SUBHANALLAH!

Anonymous said...

OMG: its beautifully written i must say its lovely Shahnaz