Friday, March 13, 2009

Tanhayi aur sukoot


Aaj bethay raho tanha yahan
Kay hujuum nahin hai...
Aaj saakit thero iss veeran
Kay awaz nahin hai...

Do lamhay jeelo aaj yahan
Kay koi nahin hai...
Do saans sissak lo aaj yahan
Kay shor nahin hai...

Khamosh hai aasmann
Khamosh yeh zamin
Khamosh hai khuda
Khamosh uski bandi

Kuch kehnay ki zaroorat nahin hai
Bandi keh siwa
Us kay rab kay siwa...
Yahan koi nahin hai

Yahan koi nahin hai
--------------------

4 comments:

Z Sattar said...

beautiful

Juniper said...

salam SAK....hunnn!!!

Juniper said...

why....no one around,,,,just look around gal ...... and u will find!!! iske liye Chashm-e-Bina Chahiye SAK ..... do u find some one
song for the day rather poem for the day
Jo bhi kutch hai Mohabbat ka Thehrao Hai.....
tere mere abd ka kinara hai yeah, istaara hai yeh, .....
Piyar ka Ghao hai, Roop ka Dao hai......
khawab kia kia chuney.....
Jal kiya kiya Buney......
Mauj thamti Nahi.....
Waqt Rukta Nahi.....
Har Musafat mein doori ka Simtao Hai......
Jo Bhi kutch hai Muhabat ka Thehrao hai......
tere mere abd ka kinara hai yeh, istaara hai yeh......

hunnnnn!!!!
if not this then may be this will brighten ur day....
woh log buhat khush kismat they, jo kam se ashiqi karte they
ya ishq ko kam samajhte they..
hum jeetey ji masroof raje
kutch ishq kia
kutch kam kia
kam ishq ke array atta rahe
aur
ishq se kam ulakhta raha
phir akhir tung aa kar humne....
Duno ko adhoora choor Diya....
:)i dont know if i did that or not
Allah Bless u gal (Ameen)
i know wat i will be saying in few days time ...... Hahahahahaha.......

Adnan Rahim said...

Hi Shahnaz...thats very well written...Bohat aala :)

Thanks for sharing