Thursday, March 1, 2012

dastaan e jindagi

yeh raah to wohi hai
jis pay kadam kabhi larkhara gayay
yeh raasta to wohi hai
jis pay ansoo beh gayay
yeh gali
yeh sadak
yeh taweel maidan e safar
jis pay khoon o paseena mera
rang charha gaya
yeh raah to wohi hai
...
laikan kya baat hai aaj main
keh dil pur sukoon hai
kya jadoo hai iss subh ka
kay aankhen hans rahi hain meri
kya ajab sa sama hai
kay aasman khush hai
zameen khush hai
aur sab se barh kar
mera wujood khush hai
...
maula!
khuda!
waris!
meray aka...
kis mun say kahun main
kis awaz say pukarun tujhay
kya naam hai tera
bata aaj mujhay
kay main sab say unchin chitaan pay khari
chila chila kar kahun
tu hai
tu hai
haq!
tu hai
...
teray siwa
kuch bhi nahin
tu hai
shah
tu hai
...
yeh kaisa sama hai
yeh kaisa safar hai
yeh dastaan e zindagi
kabhi khushi
kabhi gham
kabhi uunch
kabhi neech
kabhi haar
kabhi jeet
teri talaash hi to hai
dastaan e jindagi
zikr hi to hai
dastaan e zindagi
ishq hi to hai
...

2 comments:

faizan abbas said...

SUBHANALLAH,SUBHANALLAH,SUBHANALLAH

BESHAK!i can't say about "dastaan e jindagi" anymore because "THAT'S ALL"

wohi MAULA
wohi KHUDA
wohi WARIS
wohi AQAA
wohi subkuch

us ke siwa kuch nahi hai!!BESHAK
once again SUBHANALLAH
ALLAH!ALLAH!

faizan abbas said...

http://www.youtube.com/watch?v=uIN8y5feN2Y&feature=related


"Jab tak teray dar pe tha,thikaaney se raha

Choota tera dar to bheeg paaney se raha!

"Thukraa ke utha dey,k bithaa ley dar par

Main ab kisi aur dar pe jaaney se raha"

""BA'TIN NIGAR O UZR PAZEER AQAA HAI

RAB e DO-JAHAAN BHI KYA NASEER AQAA HAI""



PLEASE FOLLOW THE UP GIVEN LINK,THAT IS HAMD OF ALLAH,AQAA,WARIS