Tuesday, March 6, 2012

Mehboob meray

Jab yaad teri
Char jaye
Mujhay

Dastak
Aahat
Khushbu

Teray wujood
Kay muntazir
Rahay hain hum

Aye bay wafa
Ahl e wafa ki lazat
Tu kiya samjhay

Main kundan hun
Mujhay khaq ki tarha
Luta diyay

Aye bay qadray
Main ISHQ hun
Rusway kar chalay

Kisi veeranay may
Gar aqal agayee
Talab karo gay meri

Mehboob meray
Tujh say muhabbat nahi
ISHQ kiyay thay hum

7 comments:

faizan abbas said...

Mehboob meray
Tujh say muhabbat nahi
ISHQ kiyay thay hum

"great !subhanallah!lovely post this is,and mashallah AAP ki urdu writing behter se behter hoti ja rahi hai.....so keep it up and a lovely kalaam'"

"Mehboob meray"
aur AAP ne bilkul baja kaha,k muhabat nahi ISHQ kiay thay hum

muhabat aur ISHQ mein zameen aasmaan ka farq hai,aur ye wohi samajh sakta hai,jisay ISHQ ne apni zalim lapait mein lia ho...yes....

"Mehboob....."

subtain said...

o..lovely post this is.....its so touchy......so great

faizan abbas said...

this is the kaifiat of "WAJD",jab insaan apney "MEHBOOB" ki yaad mein itna kho jaye,k usay aas paas ki khabar tak na ho,aur ye kaifiat aksar "AASHIQOON" per rehti hai.and this is also is "masti",for "WAJD",please follow the given link,i hope ye AAP ko bhi mast kar de ga,but poora sunye ga

http://www.youtube.com/watch?NR=1&feature=endscreen&v=cSyDR0O16Ps

faizan abbas said...

"Mehboob meray"

"Ek mastiye nigah thi,rindoon kay darmian

Sehba jahan dhari thi,dhari ki dhari reh gayi"

faizan abbas said...

"Mehboob meray"

ISHQ kiyay thay hum

"Ye KIS ka zikr hota hai,ye KIS ki yaad hoti hai


Naye sar say meri dunia e dil aabad hoti hai


bhala kya tu mujhe ae naas(nasihat karne wala) e nadan sikhaye ga


Muhabat mein tabiyat aap hi ustad hoti hai


Tarap jati hai jis se anjuman saaray haseenon ki


Wo TERAY meray HUSN O ishq ki roodaad hoti hai


TERI furqat mein mujh se aur kuch to ho nahi sakta


Kabhi hansna,kabhi rona kabhi faryaad hoti hai


Na marnay ki ijazat hai,na QADMOON mein bulaatey HAIN


Ajab andaaz se mushtaq pay be-daad hoti hai"

Anonymous said...

Dastak
Aahat
Khushbu

'TERI DASTAK

TERI AAHAT

TERI KHUSHBU

ALLAH HU

ALLAH HU

ALLAH HU....

faizan abbas said...

"Mehboob meray"


"BULLAY SHAH! O NAMAZI KACHA

JIS YAAR SANGAT NA KEETI

AEY RAAZ DIAN GALAAN MAIN KINUU KINUU DASAAN"