Wednesday, March 21, 2012

old and new

that ache is an old ache
the longing is for an old loss
i mistake you for it all
i am clearing the cobwebs from my eyes
i am healing me on the inside
what i need
i already have
what i don't
i can give myself
and so
you and me
are no more
misfit from the start
my longing is not you at all
my longing is all me
...
tum hi to ishq ho-

14 comments:

faizan abbas said...

subhanallah!!

from my heart

lovely piece of ............kya kahoon...bohot raaz ki batain is mein AAP nay ki hain !subhanallah

subhanallah

faizan abbas said...

"old and new"

' i already have
what i don't '

subhanallah! kya baat hai in chaar lafzon mein

yes! this is all for YOU ,for me


aaj AAP kay in chaar lafzon say aik aur haqeeqat khuli hai ......great , this "old and new"........i love YOUR WRITING

yes

...
tum hi to ishq ho-

faizan abbas said...

my longing is not you at all
my longing is all me


subhanallah!

i can't explain........

what a beautiful message of 'ISHQ' , in this


now please YOU tell me ,kaisay tareef karoon is ki, because i read it again and again,and every time i want to comment on it.....such

subhanallah!!!!!

faizan abbas said...

"tum hi to ishq ho-"


khudara apnay koochay mein qadam do teen rakhnay do

sada e lan'tarani ki haqeeqat ko samajhnay do


tarapta daikh kar mujh ko hansay aur khoob farmaya

girafftaar e muhabat hai isay yun hi tarapnay do


muhabat kis tarah insaan ko lachaar karti hai

main samjhata to hoon laiken zara dil ko sambhalnay do


kaf e afsos malta hoon,kaf e afsos malnay do

ye gaarri jaisay chalti hai,isay waisay hi chalnay do


kisi say TUM ko kya matlab na aana in ki baatoon mein

muhabat kay jo dushman hain, wo jaltay hain to jalnay do


WO niklay ban sanwar kar ghar say yun kehnay lagay mushtaq!

jo martay hain unhain meri bala say aaj marnay do"

Anonymous said...

so beautiul
god bless you:)

Anonymous said...

"Un ki mehfil mein NASEER un key tabassum ki kasam

Dekhtey reh gaey hum hath sey jana dil ka"

subtain said...

these are same..

my longing is not you at all
my longing is all me
...


be-khuddi mein na hui ham ko NASEER apni khabar
hosh aya to ham he jalva e janan nikley...

Deja Vu said...

time is the best healer

Anonymous said...

keep it up shahnaz.thats also a masterpiece o your writing

Anonymous said...

i miss you on formspring shahnaz

faizan abbas said...

that ache is an old ache
the longing is for an old loss
i mistake you for it all
i am clearing the cobwebs from my eyes
i am healing me on the inside
what i need
i already have
what i don't
i can give myself
and so
you and me
are no more
misfit from the start
my longing is not you at all
my longing is all me


by

abida parween

http://www.visaaleyaar.com/detail.php?nod=729

faizan abbas said...

tum hi to ishq ho-


"ab to us but say aashnai hai

jis ki fitrat mein be wafai hai


aaj us nay karam say dekh lia

meray allah teri dohai hai


khud say bhi ho gaya hoon warifta

jis ghari yaad us ki aayi hai


wo na zindon mein hai na murdon mein

ISHQ ki chot jis nay khai hai


jab lia naam us nay jaanay ka

main nay jana kay mout aai hai


wasl ahbab ki mubarak ho

apni taqdeer mein judai hai


WO hansay kya kay khil gayay ghunchay

goya un say bahaar aai hai


jab WO aayay hain dilnawazi par

har kali dil ki muskurai hai


meri turbat pay hans kay WO bolay

aaj is say nijaat paai hai


WO gayay kya kay bazm e hasti mein

har taraf murdani si chaai hai


US ko kya main raha ,raha na raha

jis ki mushtaq ek khuudai hai"

faizan abbas said...

ishq hi to hai_

tum hi to ishq ho-

"Raat saari janaab khoob rahi

intazaari janaab khoob rahi


kisi pehlu bhi chain aa na saka

beqaraari janaab khoob rahi


jazba e dil TUMHAIN na khainch saka

sharamsaari janaab khoob rahi


rotay rotay sehar hui aakhir

ashkbaari janaab khoob rahi


haal e dil aaj tak nahi poocha

ghamgusaari janaab khoob rahi


allah allah KISI ki furqat mein

aaozaari janaab khoob rahi


sab sukun o qaraar cheen lia

teri yaari janaab khoob rahi


kar dia ku'baku mujhe ruswa

pardadaari janaab khoob rahi


keh saka wasl mein na dil ki baat

raat saari janaab khoob rahi


chashm e YAAR ko jab say dekha hai

phir khumaari janaab khoob rahi


qabar e mushtaq par na TUM aayay

INTAZAARI JANAAB KHOOB RAHI""

faizan abbas said...

"old and new".......

"dil say khayaal e YAAR bhulaana muhaal hai

is ghar mein ab to ghair ka aana muhaal hai


parda ta'ainaat ka uthay agar zara

phir hosh mein kisi ka bhi aana muhaal hai


niklay gi ab to jaan isi pa'aya e naaz par

jab rakh dia hai sar to uthaana muhaal hai


ham daikhtay hi jaam e muhabat huay hain mast

saghar utha k mun say lagaana muhaal hai


yun bas gai hai dil mein teri aarzoo kay bas!

teray siwa kisi ka samaana muhaal hai


suntay nahi kisi say meri daastan e gham

kehtay hain is ka sun'na sunaana muhaal hai


mushtaq! nasha YAAR ki mae ka bhi hai ajab

behosh ho kay hosh mein aana muhaal hai"