Monday, March 5, 2012

bandish

kabza e dil jo hua
teri bandish main hain kya karain
har nata tor diya
par dil ki dor kaisay juda karain hum...?

thutkar diya tujhay sanam
laikin is bay basi ka kya haal karain
bujha diya chirag e muhabbat
par aatish e ishq kaisay khaq karain hum...?

nikal diya seenay say dil
dharkan ko kaisay khamosh karain
zaban ko to kat diya talwaar say
ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?

7 comments:

faizan abbas said...

nikal diya seenay say dil
dharkan ko kaisay khamosh karain
zaban ko to kat diya talwaar say
ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?

ab kya kahoon main........

no words.....

SUBHANALLAH!SUBHANALLAH

faizan abbas said...

"BANDISH"

subhanallah

"Kijay jo sitam reh gaye hain

Jaan dene ko ham reh gaye hain

baant di sab ne apas mein khushiaan

Meray hisay mein gham reh gaye hain

Kainaat e jafa o wafa mein

Aik tinkay ke ham reh gaye hain

Wo gaye jin ke dam se thi ronaq

Aur rehnay ko ham reh gaye hain

Wo to aa kar gaye bhi kabhi ke

JIN ke naqsh e qadam reh gaye hain

UN ki satarian kuch na poocho

Aasioon ke bharam reh gaye hain

Dil NASEER! UN ka tha le gaye WO

Ham khuda ki qasam reh gaye hain"

subtain said...

thutkar diya tujhay sanam
laikin is bay basi ka kya haal karain
bujha diya chirag e muhabbat
par aatish e ishq kaisay khaq karain hum...?

i read "bandish"again and again

and i thought
no one knows about "ISHQ", and everyone knows about "ISHQ""ISHQ"

"ISHQ de rog da kidrey na daaru(dawa)

ISHQ de rog awalrey(ajeeb)

aqlaan,shaqlaan waley keetay ISHQ ne kamley jhaley

Hafiz o ho barbaad hoay jaeray(jo) ghar ISHQ ne maley"

isi liay:

kabza e dil jo hua
teri bandish main hain kya karain
har nata tor diya
par dil ki dor kaisay juda karain hum...?

thutkar diya tujhay sanam
laikin is bay basi ka kya haal karain
bujha diya chirag e muhabbat
par aatish e ishq kaisay khaq karain hum...?

nikal diya seenay say dil
dharkan ko kaisay khamosh karain
zaban ko to kat diya talwaar say
ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?

faizan abbas said...

zaban ko to kat diya talwaar say
ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?

kaisay juda karain hum...?

kaisay juda karey koi...?

"Dil se nikal gaya ke jigar se nikal gaya

teer e nigah e YAAR kidhar se nikal gaya"

ALLAH AAP KI MANZIL ASSAN FARMAYE!AAMEEN

faizan abbas said...

ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?

ruh say tera naam kaisay juda karain hum...?
WHAT POWERFULL WORDS THESE ARE
ALLAH!

SUBHANALLAH!

Anonymous said...

so great piece this is "bandish"......i like so much

Anonymous said...

whyyyyyyyyyyyyyyy?