Ik soch hai man main
Kahun ya chup rahun
Jo dard hai seenain main
Bolun ya khamosh rahun
Baychaini jo ruh ki hai
Sunadun ya nahin
Arzoo jo hai zindagi
Pukarun ya tanha rahun
Kuch yaadain hain tumhari
Kuch baatain hai tumhari
Kuch sawal hain meray
Kuch khayal hain meray
Paas paas rehtay ho tum
Duur rahun main
Ya tum ko apna lun
Tanha hai jeewan
Tanha rahun main
Ya kisi ko apna lun
Tanha rahun main
Ya khud ko apna lun
Tanhai hai fitrat
Tanhai arzoo...
Tanha safar ho
Ya musaffir bana lun
Bolo kya karun...
2 comments:
wow amazing...
really touching & sad too.
Tanhayan...
"You Leave but left a Space in Me" :(
Unanswered questions...
Solitude Sucks & it Really Hurts!
only a sufferer can feel it......
tere paas aane ko jii chaahataa hai
naye zaKhm khaane ko jii chaahataa hai
zamaanaa meraa aazamaayaa huaa hai
tujhe aazamaane ko jii chaahataa hai
ka_ii martabaa dil pe bijalii girii hai
magar muskuraane ko jii chaahataa hai
(Sikander Ali Wajid)
Post a Comment